Jameen par chal na saka..
जमीन पर चल ना सका, आसमान से भी गया,
काट कर पैर को परिंदा उड़ान से भी गया,
तबाह कर गयी मुझे पक्के मकान की ख्वाहिश,
मैं अपने गाँव के कच्चे मकान से भी गया,
भुलाना चाहूँ तो भुलाने की हद करदी,
अब वो शख्स मेरे वहम-ओ-गुमान से भी गया,
किसी के हाथ से निकला हवा वो तीर हूँ मैं,
जो निशाने को छू ना सका और कमान से भी गया !!
Zameen pe chal na sakaa, aasmaan se bhi gaya
Kaat k per ko parinda udaan se bhi gaya
Tabaah kar gaye mujhe pakke makaan ki khawaish
Main apne gaon ke kachche makaan se bhi gaya
Bhulana chaha toh bhulaane ki hadh kar di
Ab wo shakhs mere wehem-o-gumaan se bhi gaya
Kisi ke haath se nikla hua wo teer hoon mein
Jo nishaane ko chhoo na sakaa aur kamaan se bhi gaya